Hello dosto aaj ham is post me batane ja rahe hai ki kis prakar ham apne youtube channel Subscriber Hide kaise kare.
Dosto aisa karna bahut hi aasan hai aur is tricks ki mdd se aap kuch hi minutes me aap apne youtube channel ke subscriber count ko hide kar sakte hai.
aisa kar dene ke aapke channel ka subscriber count secret ho jaayega jisse aap khud hi apne channel subscriber count ko dekh sakte hai dusra koi nahi.
To chaliye dekhte hai ki kis prakar hum apne channel subscriber count ko hide kar sakte hai.
YouTube Channel Subscriber Hide Kaise Kare
Dosto agar aap chahte hai ki hamara apna youtube channel subscriber count ke bare me koi aur na jane to niche diye gaye tricks ko step by step apnaye.
Step 1. Sabse pehle aap apne YouTube Studio me login kare.
Note: aap jis kisi bhi browser se youtube channel login karte hai usme aap apne browser ko desktop version me karke login kare isse aapko step follow karne me aasani hogi.
Step 2. Ab Settings par click kare uske baad Channel par click karna hai ya niche diye link se direct YouTube advanced settings ko open kar lena hai.
Step 3. Ab aapko sabse niche Subscriber count “display the number of people subscribed to my channel” par check ka tik laga dena hai uske baad niche save par click kar dena hai.
Ye sab karne ke baad aap apne youtube channel ka subscriber count ko sirf aap khud yani user hi dekh sakta hai dusra koi nahi.
Note : agar aap us subscriber count ko dikhana chahte hai to fir aap Subscriber count me Display the number of people subscribed to my channel par check kar dena hai.
Conclusion
to is tarah tricks ki mdd se aap apne Youtube Channel Subscriber Hide Kaise Kare sikh chuke honge, Agar aapko ye tricks helpful laga ho to aap apne dosto ke sath bhi is tricks ko share kare.
Sath hi hume social media Facebook aur twitter par follow jarur karen aur youtube video dekhne ke liye hamare YouTube Channel ko subscribe jarur kare.
Read also: