Google Account Secure कैसे करें ?

Google Account Secure Kaise Kare: Aaj kal internet user ke liye Google account bahut hi jaruri ho gaya hai , agar aapke pass google account nahi hai to aap online kuch nahi kar payenge ya fir aap android mobile ke sabhi application like play store , gmail etc. Ka use nahi kar payenge.

To karib karib sabhi internet users ke pass google account hota hi hai aur sath hi usko hacker se secure rakhna bhi important hai.

Google Account Secure kaise kare

Agar aapka google account hack ho jata hai ya details chori ho jata hai to aap ka google account ki other services ko bhi access kar sakta hai like youtube, gmail, Google Drive, Google Plus, etc.

Aor agar aapka account ek bar koie access kar leta hai to fir aap usko recover nahi kar sakte hai , aor hacker aapka details save kar sakta hai or uska galat istemal bhi kar sakta hai.

So har internet user ke liye google account ki security metter hai. To aaj hum aapko is post me batayenge ki kaise apne google account secure rakhe.

Google Account Secure Kaise Kare

Google account secure karne ke liye aap google dwara provide ki gayi security ka use karke aap apne account ki security ko increase kar sakte hai.

1. Setup Account Recovery

Agar kabhi aap apna username or password bhul jate hai to aap setup account recovery ka use karke aap apna google account ko recover kar sakte hai.

Recovery setting ke liye ye option follow kare Google account me settings par jaye or sign in & security par click kare.

Ab account recovery par jaye or waha par aap recovery email ya fir recovery Mobile number add kar le.

2. Use Strong Password

Bahut se user aise hote hai jinke password normal 12345 ya 00000 hote hai jisko koie bhi hack kar sakta hai. Online sabhi account ko secure rakhne ke liye strong password ka use kare.

taki hacker aapke account ko access na kar paye aor khas kar gmail account ke liye aapko hamesha strong password ka use kare taki google ke other services ke sath aapke gmail account ko access na kar paye.

3. Enable 2 Step Verification

Google account ki security ko increase karne ka sabse badiya options ye hai jiska use karke aap apne account par extra security badha sakte hai ,

is option me aapka username or password kisi ko pata bhi chal gaya to wo aapke account me login nahi kar payega.

kyuki 2 step verification me aapke dwara add kiye gaye mobile number par verification code jayega jisse aapko google account login karte samay dalna hoga tabhi jake aapko account login ho payega.

Is option ko enable karne ke liye sign in & security par click kare or password & Sign in method par ja ke 2 step verification ko enable kare.

Conclusion

Is post me bataye gaye steps ko follow karke aap apne gmail ya google account ko hacker se secure kaise kare sikh chuke honge.

I hope aapko ye post pasand aayegi or aap apne gmail account ko secure karne me safal bhi ho gaye honge, yadi aapko ye article helpful laga ho to ise apne dosto aur ristedaro ke sath jarur share kare taki unhe bhi pata chal sake ki google account secure kaise karte hai.

Read Also :

Leave a Comment