Mobile Battery Life Increase Kaise Kare

Friends kya aapke phone ki battery bhi jaldi hi discharge ho jati hai. Agar ha to chaliye aaj hum aapko is post me batane wale hai ki hum apne mobile battery life increase kaise kare.

Lagbhag sabhi phone users ko battery life backup ki problem hoti hai khaas kar un logo ko jo jayda time mobile par hi gujarte hai, Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki internet chalte chalte hum so jate hai,

Battery life increase kaise kare
how to increase mobile battery life

jiske karan hamare phone ki battery backup me problem aa jati hai, kyuki internet chalne par hamara phone ka screen light on hi rehta hai jab tak ki phone cahala band nahi kar dete aur isse hamare phone ki battery backup problem aa jati hai.

Friends battery backup problem ki aur bhi bahut sare mobile functions hai jiske off nahi karne par phone ki battery kharab ho jati aur fir wo backup nahi deti hai.

To chaliye vistar se jante hai mobile battery life kaise badhaye uske tarike ke bare me.

Battery life increase kaise kare

Kisi bhi mobile chahe iphone ho ya android ki battery life badhane ke liye kuch tips aapko niche me bata rahe hai jisko aap follow karke aap apne mobile ki battery backup increase kar sakte hai.

Battery Life badhane ke liye kya kya kare ?

kisi bhi smartphone ki battery life increase karne ke liye niche bataye gaye step ko jarur follow kare, jo android ke liye hi nahi balki ios, aur windows phone ke liye bhi helpful hoga.

1. Turn Off Mobile Data, Wi-Fi & Bluetooth When Not in Use.

Jyadatar log apne mobile ka data, wifi aur bluetooth on hi chor dete hai , jiske karan mobile me kafi application internal memory me run karte rehta hai , jisme aapke battery ka use hote hi rehta hai.

Jab aapko internet ka use karna ho tabhi aap apne mobile ka data, Wi-Fi aur Bluetooth ka istemal kare.

2. Don’t use Live Wallpapers

Live Wallpapers me jo bhi animated picture ya video play hoti rehti hai wo aapke battery ko bahut jald hi discharge kar deta hai , kyuki live Wallpapers me audio, video , gif etc. Rehta hai jo run hote rehta hai.

Aap apne mobile me koi normal wallpaper use kare.

3. Turn off Auto Brightness

Auto Brightness filhaal harek phone me rehta hai aur uska use bhi bahut sare users karte hai. Auto Brightness me aap ka mobile ka display light andhere me aap ke phone ka display light kam ho jata hai aur ujale me kafi jayda Bright ho jata hai jiske karan aapka phone ke battery ka jayda use hota hai.

Aap apne phone ka Brightness aap apne hi rakhe.

4. Turn off Vibrate Mode

Jab hum office ya class me rehte hai tab hame apne phone ko Vibrate Mode me rakh dete hai , aur aisa karne se battery ka kafi use hota hai.

agar aap office ya class me hai to apne phone ko mute kar le naki Vibrate.

5. Turn off Auto sync

Auto sync me aapke mobile data sync hota rehta hai , jo kafi jyada der tak sync hote rehta hai.

jab aapko apne phone ka data sync karna ho tabhi aap on kare.

6. Turn on Power Saving Mode

Battery backup badhane ka ek tarika ye bhi hai ki aap apne mobile me battery saving mode ko on kar de taki aapke phone me background apps aur others running services band rahegi.

7. Use original charger

Kabhi kabhi jaldbaji me humlog kisi bhi charger se apne phone ko charge karne lagte hai, jo ki harek mobile users ke liye nuksan sabit ho jata hai , jo baad me aapko kafi dikkat dega.

Jo charger aap ko mobile ke sath mila hai ussi se apne mobile ko charge kare aur kisi dusre charger se apne phone ko charge hone se bache.

Conclusion

mujhe asha hai ki aap is post ki madad Battery life increase kaise kare sikh chuke hoge yadi aapko yeh jankari acchi lagi ho to apne friends ke sath jarur share kare aur social media facebook, twitter par mujhe follow jarur kare.

Read Also:

Leave a Comment